Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar, Urdu Ghazal By Syed Masood Hasan Masood

Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Masood Hasan Masood. Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

توبہ ستم سے کی مجھے سینہ فگار دیکھ کر

سید مسعود حسن مسعود

توبہ ستم سے کی مجھے سینہ فگار دیکھ کر

لو انہیں رحم آ گیا حالت زار دیکھ کر

فرط خوشی سے تا سحر غنچۂ دل ہنسا کیا

تیرے گلے میں شام وصل پھولوں کا ہار دیکھ کر

اور نہ کوئی بس چلا اور نہ کچھ بھی ہو سکا

روئے اسیر قید غم جوش بہار دیکھ کر

خوف گنہ نہیں رہا دل کو پھر آسرا ملا

یاد کرم بھی آ گئی روز شمار دیکھ کر

ٹھوکروں سے مٹائے گا کوئی اگر نشان قبر

روئے گی بیکسی مری کس کا مزار دیکھ کر

ہوش و حواس پر گری برق جمال دل فروز

کچھ نہ رہی ہمیں خبر جلوۂ یار دیکھ کر

چادر غم پڑی ہوئی شمع لحد بجھی ہوئی

اہل جہاں ہیں چشم نم میرا مزار دیکھ کر

توبہ یہ کوئی بات ہے اپنے کئے کی شرم سے

ان کی بلا جھکائے سر روز شمار دیکھ کر

موت سے یوں شب الم خوش ہوئے مبتلائے غم

شاد ہو جس طرح سے یار صورت یار دیکھ کر

سید مسعود حسن مسعود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar

Syed Masood Hasan Masood

tauba sitam se ki mujhe sina-figar dekh kar
lo unhen rahm aa gaya haalat-e-zar dekh kar

fart-e-KHushi se ta-sahar ghuncha-e-dil hansa kiya
tere gale mein sham-e-wasl phulon ka haar dekh kar

aur na koi bas chala aur na kuchh bhi ho saka
roe asir-e-qaid-e-gham josh-e-bahaar dekh kar

KHauf-e-gunah nahin raha dil ko phir aasra mila
yaad-e-karam bhi aa gai roz-e-shumar dekh kar

Thokaron se miTaega koi agar nishan-e-qabr
roegi bekasi meri kis ka mazar dekh kar

hosh-o-hawas par giri barq-e-jamal-e-dil-faroz
kuchh na rahi hamein KHabar jalwa-e-yar dekh kar

chadar-e-gham paDi hui sham-e-lahad bujhi hui
ahl-e-jahan hain chashm-e-nam mera mazar dekh kar

tauba ye koi baat hai apne kiye ki sharm se
un ki bala jhukae sar roz-e-shumar dekh kar

maut se yun shab-e-alam KHush hue mubtala-e-gham
shad ho jis tarah se yar surat-e-yar dekh kar

(571) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar written by Syed Masood Hasan Masood at UrduPoint. Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar is one of the masterpieces written by Syed Masood Hasan Masood. You can also find the complete poetry collection of Syed Masood Hasan Masood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Masood Hasan Masood' above.

Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tauba Sitam Se Ki Mujhe Sina-figar Dekh Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.